Abhi suraj nahi dooba zara si sham honay do,
main khud hi laot jaun ga mujhay nakam honay do,
mujhay bad nam karny k bahany dhundty ho kiun?
main khud ho jaun ga bad nam pehly nam honay do,
abhi mujh ko nahi karna ha aetaraf e shikast,
main sab tasleem kar lu ga ye charcha aam honay do,
meri hasti nahi anmol phir bhi bik nahi sakta,
wafain baich lena per zara neelaam honay do,
naey aaghaz main HEE honsla kiun chor bethay ho?
tum sab kuch jeet jao gay zara anjaam honay do,
